Best Quote in Urdu - RAB se Maa Baap Door ho ka - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Best Quote in Urdu - RAB se Maa Baap Door ho ka

Best Quote in Urdu

RAB se Maa Baap Door ho kar
Insaan Hamesha Paresha he Rehta hai

Kabi kabi onse melna parta ha jinko ap milna nhi chahte

or kahbi onko melna nahi chahte

Agr ap shahi ho to kuch bhi saabat krny ki zarort nhi

Waqt khud hi apki gawahi dy ga

Zindagi main kuch pal asisay atay hain
Jinhain ham chah kar bhe apni yaadasht se
mita nahi sakty
Mujha iktalaf hai un logo se jo kehtay hain
K waqt har zakham ko bhar daita hai 


Kabhe kabhe marne  ka liya zeher ki zarorat nahin
Parti Hasaas Insaanon ko to Raviyay he maar daity hain
Aur ye moot bari aziyat naak moot hoti hai


Ajeeb duniya hai?????????

Shadi shuda talaq k chakar mein hain.
Ghair shadi shuda k shadi k khaylo mein
Bachon ko bara hone ki jaldi hai
Barron ko bachpan dobarah lotne ki arzoo
Nokari karne wala apne kaam ki sakhtiyon se nalan hain
Bekaron ke laboon par kaam milnay ki dunye hain
Ghareebon ko Ameeron ki zindagi ki hasrat hai
Ameeron ko aik lamha aaram ki tamanna
Mashhoor afraad chupnay ke liya thikana ki talash mein hain
Am log mashhoor ban ne k khayaal mein
Kisi ko maloon nahi ke khushhali ka wahid rasta yeh hai ke jo naemtainn tumhain mili
Iss ki qader jano aur un s Lutaf Uthao.
 
Insaan sab kuch bhool sakta hai siwaey un lamhon  kay
Jab usay apnon ki zarorat thi aur  dastiyab naih tha


Ham logon se sirf tak tak lartay hain jab tak hamain un se payra
ki umeed khatam hojati hai to ham larna bhe band kar daitay hain.

Insaan bhi kya cheez hai????

Doulat kamany ke liye sahet kho deta hai
Phir wapas sahet panay ke liye apni doulat kho deta.
Mustaqbil ka soch kar apna haal zaya kar deta hai aur
Phir mustaqbil mein apna maazi yaad kar ke rota hai
Jeeta aisay hai kabhi marna hi nahi aur marta asiay hain
Jaisay kabhi jiya hi nahi ............
 

Manzilain kabhe kisi k ghar jakar haazri nahi daitin
Raaston par chalnay se he raasty nikalty hain


**************************************************

Aanson ankh se nikal kar gaal pe beh jaen to maltab apka
Takleef howi hai
Lakin  Anson  Ankh se hotay howa halq mein atak jaen to
Yaqinan kahin  andar kuch toota hai

Â