Ghum Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nhi
Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahinÂ
Tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahinÂ
Nind ka halka gulabi sa khumar aankhon mein thaÂ
Yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin
 Har taraf diwar-o-dar aur un mein aankhon ke hujum
 Kah sake jo dil ki haalat wo lab-e-goya nahinÂ
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
 Katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahinÂ
Jaanta hun ek aise shakhs ko main bhi 'munir'Â
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin