Agar Kaj Ro Hain Anjum | Bal-e-Jibril: 2 - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Agar Kaj Ro Hain Anjum | Bal-e-Jibril: 2

 Agar Kaj Ro Hain Anjum 

Agar Kaj Ro Hain Anjum

Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera
Mujhe Fikar-e-Jahan Kyun Ho, Jahan Tera Hai Ya Mera?

Agar Hangama Ha’ay Shauq Se Hai La-Makan Khali
Khata Kis Ki Hai Ya Rab ! La-Makan Tera Hai Ya Mera?

Usse Subah-e-Azal Inkaar Ki Juraat Hui Kyun Kar
Mujhe Maloom Kya, Woh Raazdan Tera Hai Ya Mera?

Muhammad (S.A.W.) Bhi Tera, Jibreel Bhi, Quran Bhi Tera
Magar Ye Harf-e-Shireen Tarjuman Tera Hai Ya Mera?

Issi Koukab Ki Tabani Se Hai Tera Jahan Roshan
Zawal-e-Adam-e-Khaki Zayan Tera Hai Ya Mera?

Bal-e-Jibril: 2

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.