Ghamo se na ghabrao, Hussain waris hai
Ghamo se na ghabrao, Hussain waris hai Alam e Abbas uthao, Hussain waris hai Sari duniya ne thukra diya hai gar tumko Dar e Abbas par aao, Hussain waris hai Yeh wo kareem hain, khali nahi lautayenge Apna dukh to Sunao, Hussain waris hai Kiya sawal jo Allah se, Maine Jannat ka Sada yeh aai ke jaao, Hussain waris hai ❤️ Yazeediyat jo tere samne kabhi aye Tum apna sar na jhukao, Hussain waris hai Sada yeh aati hai kar-bo-bala ki dharti se Wafa ke deep jalao, Hussain waris hai Ishq e Shabbir ka da’wa hai, gar tumhe logon To Karbala na bhulao, Hussain waris hai