Himala
Hamala
Ae hamala as faseel e kishwar e Hindustan
Choomta ha teri paishani ko jhuk kr aasman
Tujh mein kuch paida nahi derina rozee k nishan
Tu jawan hai gardish e sham o saher ke darmiyan
Aik jalwa tha kaleem e toor e sina ke liya
Tu tajali hai sarapa shasm e beena ke liya
Imtihan e didah zahir mein kohistan hai tu
Pasban apna hai tu dewar e Hindustan hai tu
Matla e awwal falak jis ka ho wo diwan haut u
Suay khilwat gah e dil daman kash e insane hai tu
Barf ne bnadhi hai dastar e fazilat tere sar
Khanda zan hai kalah e meher e aalam tab par
Teri umar e rafta ki ek aan ha ehad e kuhan
Wadiyon mein hai teri kali ghaten khema zan
Chotiyan teri surayya se hain sargaram e sukhan
Tu zameen per aur pehna e falak tera watan
Chasma e daman tera aaena siyyal hai
Daman e mouj e hawa jis ke liya rumal hai
Abar ke hathon mein rahwar e hawa kewaste
Taziyana de diya barq e sar e kohsar ne
Ae hamala koi bazi gah hai tub hi jisa
Dast e qudrat ne banaya hai aanasir
Haye kya firat e tarah mein jhoomta jata hai abar
Feel e be zanjeer ki surat ura jata hai abar
Junbish e mouj e naseem e subah gehwara bani
Jhoomti hai nasha e husti mein har gul ki kal
Yun zuban e berg se goya hai is ke khamshi
Dast e gulcheen ki jhatak mein ne nahi dekhi kabhi
Keh rahi hai meri khamoshi hai afsana mera
Kunj e khalwat khana e qudrat hai kashana mere
Ati hai nadi faraz e koh se gati howa
Kausar o tasneem ki moujon ko sharmati howe
Aaeena sa shahid w qudrat ko dikhlati huwe
Sang e reh se gah bachti gah takrati huwi
Chairti ja is Iraq e dil nasheen ke saaz ko
Ae musafir dil samjhta hai teri awaz ko
Laila e shab kholti hai aa ke jab zulf e rasa
Daman e dil khenchti hai aabsharon ke sada
Wo khamoshi sham ki jis per takalum ho fida
Wo darkhton per tafakkur ka saman chaya huwa
Kanpta phirta hai kya rang e shafaq kohsar per
Khushnuma lagta hai ye ghazah tere rukhsar per
Ae hamala dastan uss waqt ki koi suna
Maskan e aabay insane jab bana daman tera
Kuch bata us seedhi sadi zindagi ka majra
Dagh jis par ghaza rang e taklluf na tha
Haan dikha de ae tasawwar phir who subha o sham tu
Dorh piche ki taraf ae ghardish e ayyam tu

