Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai


Aur tujhse bichar jaane ka darr bhi nahi jaate



Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala

Wohi andaz hai zalim ka zamane wala

Ab usay log samjhte hain girftar mera
Sakht naadim hay muj daam main lane wala

Subha dam chor gya nikhat-gul ki surat
Raat ko guncha e dil may simatt ane wala

Kya kahen kitne marasim tha hamare us se
Wo jo ik shakhs hai mujh phair kay jane wala

Tere hote hoye aa jati thi sari duniya
Aj tanha ho to koi nah ane wala

Muntazir kis ka ho tooti hoi dehleez main
Kon aye gay yahan kon hai ane wala

Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla  ha itna
Hay wohi mujh ko sar e daar bhi lane wala

Main ne dekha ha baharon may chaman ko jalte
Hai koi khawab ki tabeer batane wala

Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi hat hath milane wala


Mudatoon se yahi aalam na tawaqa na umeed 

Dil pakare hi chala jata janaan janaan

Hum bhi kya saada tha hum ne bhi samjh rakha tha
Gam e doraan se juda hai gham e janan janan

Ab k kuch asie saji mefil e yaraan janaan 
Sar be zanwan hai koi sir bigrebaan janan

Har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
Har koi apne hi saal se harasaan janaan

Jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagta hai
Shaher ka shaher howa dakhil e zandaan janaan

Ab tera zikr bhi shaid hi ghazal mein aae
Aur se aur howa dard ke anwaan janaan

Hum ke roothi hoi rut ko bhi  mana lete thi
Hum  ne  dekha hi na tha mosam e hijraan janaan

Hosh aaya to sabhi khwab thi reza reza

Jaise urte howa aoraaq e preshan janaanÂ