Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri


Kab wo sunta hai kahani meri

Aur phir wo bhi zabani meri


Phir mujh deeda e tar yaad aya
Dil jigar tishna e faryaad aaya

Zindagi yo bhi guzar hai jaati
kyo teraa raahguzar yaad aya

Phir tere kuch ko jaata hai khayal
Dil e gum gashta magr yaad aya

Koi viraani se virani hai
Dasht ko dekh k ghr yaad aya

Mein ne majnun pe ladakap mein ASAD
Sng uthaaya tha ki sar yaad aaya

Daayem paraa howa tere dar par nahi ho mein

Khak aisi zindagi pe k pat thar nahi ho mein

kyo gardish e mudam se ghabra na jaye dil
Insan ho pyala o saghar nahi ho mein

Yarab zamana mujh ko mitat hai kis liya
Lauh e jahan pe harf e mukarrar nahi

Had chahiye saza mein uqoobat k waaste
Akhir gunaahgar ho kafir nahi ho mein

Kis waaste azeez nahi jaante mujhe
Lal o zumurrud o zar gauhar nahi ho mein

Rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyo daregh
Rutbe mein mahr o mah se kamtar nahi ho main

Karte ho mujh ko man a e qadambos kis liya
Kya asman k bhi barabar nahi ho mein

Ghalib wazifakhwar ho do shaah ko dua
Wo din gaye k kahte tha naukar nahi ho mein

Aah ko chaahiya ik umar asar hone tak

Kon jeeta hai teree zulf ke sar hone tak?

Daam e har mauj mein hai halqah e sad kaam e nihang
Dekhein kya guzre ha qatre  pah guhar hone

Aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karoon khoon e jigar hone tak?

Ham ne maana ke taghaful na karoga lekin
Khaak ho jaayenge ham tumko khabar hone tak

Partv e khur se hain shabnam ko fana ki taalim
Mein bhi ho ek inaayat ki nazaar hone tak

Yak nazar besh nahi fursat e hasti gaafil
Garmi e bazm hai raqs e sharar hone tak


Gham e haste ka asad kis ho juz magr ilaaz
Shamma har rang mein jatle hai sahar hone tak

next

Baazeecha e atfaal hai dunyi mere age
Hota hai shab o roz tamaasha mere age

Hota hai niha gard mein sehra mere hote
Ghisata hai jabeen khaak pe dariya mere age

Mat pooch ke kya haal hai mera tera peeche
To dekh ke kya rang tera mere age

Imaan mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
KAABA mere peeche hai kaleesa mere age

Go haath ko jumbish nahi ankho to dam hai
Rehne do abhee saaghr o meena mere age