Yaad men teri jahan ko bhulta jaata hun main
Yaad men teri jahan ko bhulta jaata hun main
Bhulne vaale kabhi tujh ko bhi yaad aata huuñ main
Ek dhundla sa tasavvur hai ki dil bhī tha yahañ 
Ab to siine meñ faqat ik Tiis sī paatā hun main
O vafa-na-ashna kab tak sunūn tera gila 
Be-vafa kahte haiñ tujh ko aur sharmata hun main
Arzūon ka shabab aur marg-e-hasrat ha.e haa.e 
Jab bahar aa.e gulistāñ meñ to murjhata hun main
Hashr meri sher-goī hai faqat fariyad-e-shauq 
Apna ġham dil kī zabañ men dil ko samjhātā hun main
Agha Hashar Kashmiri
