Ghazal Urdu: Bewafa Ghazals

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Showing posts with label Bewafa Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Bewafa Ghazals. Show all posts

Nahin nigah mein manzil to justju hi sahi | Faiz ahmed faiz

May 17, 2025
Nahin nigah mein manzil to justju hi sahi | Faiz ahmed faiz

Nahin nigah mein manzil to justju hi sahi

نہیں نگاہ میں منزل تو جستجو ہی سہی
نہیں وصال میسر تو آرزو ہی سہی

نہ تن میں خون فراہم نہ اشک آنکھوں میں
نماز شوق تو واجب ہے بے وضو ہی سہی

کسی طرح تو جمے بزم مے کدے والو
نہیں جو بادہ و ساغر تو ہاؤ ہو ہی سہی

گر انتظار کٹھن ہے تو جب تلک اے دل
کسی کے وعدۂ فردا کی گفتگو ہی سہی

دیار غیر میں محرم اگر نہیں کوئی
تو فیضؔ ذکر وطن اپنے روبرو ہی سہی

           


Nahin nigaah mein manzil to justajoo hi sahi
Nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi

Na tan mein khoon faraaham na ashk aankon mein
Namaaz-e-shauq to waajib hai be-wazoo hi sahi

Kisi tarah to jame bazm mai-kade waalo
Nahin jo baada-o-saagar to haav-hoo hi sahi

Gar intezaar kathin hai to jab talak ai dil
Kisi ke waada-e-fardaa ki guftagoo hi sahi

Dayaar-e-ghair mein marham agar nahin koi
To Faiz zikr-e-watan apne rubaroo hi sahi

Faiz Ahmed Faiz

Main hoon tum ho ik dunya hay… tauba hay | Ambareen Haseeb Amber

May 14, 2025
Main hoon tum ho ik dunya hay… tauba hay | Ambareen Haseeb Amber

Main hoon tum ho ik dunya hay… tauba hay

میں ہوں، تم ہو، اک دنیا ہے۔۔۔توبہ ہے
سارا عالم دیکھ رہا ہے ۔۔۔۔۔ توبہ ہے

سب سے بچ کر اک نظر تم نے دیکھا
اور یہاں جو دل ڈھرکا ہے۔۔۔۔ توبہ ہے

چھیڑ رہی تھی زلف کو چنچل شوخ ہوا
میں یہ سمجھی تم نے چھوا ہے۔۔۔۔ توبہ ہے

میں نے تم سے دل میں ڈھیروں باتیں کی
تمکو خامشی کا گلہ ہے۔۔۔۔۔ توبہ ہے

تم نے پکارا نام کسی کا محفل میں
میں نے اپنا نام سنا ہے ۔۔۔۔۔۔ توبہ ہے

تم نے کہا تھا آپ سے مل کر خوشی ہوئی
لیکن میں نے جو سمجھا ہے ۔۔۔۔۔ توبہ ہے

امبرین حسیب امبر
 

Main Hoon Tum Ho Ik Dunya Hay… 
Tauba Hay
Sara Aalam Dekh Raha Hay… 
Tauba Hay
Sab Se Bach Kar Tumne Ek Nazar Dekha
Aur Yahan Jo Dil Dharka Hay…
Tauba Hay
Maine Tumse Dil Main Dheron Baaten Ki
Tumko Khamoshi Ka Gila Hay…
Tauba Hay
Tumne Pukara Naam Kisi Ka Mehfil Main
Maine Apna Naam Suna Hay…
Tauba Hay
Aaj Bhi Tumse Mausam Par Hi Baat Hui
Dil Ne Phir Chupke Se Kaha Hay…
Tauba Hay…
Aaj Parheen Jab Nazmain, Ghazlain Tou Jaana
Maine Tou Bas Tum Ko Likha Hay…
Tauba Hay
by Ambareen Haseeb

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain | Ahmed Faraz

May 10, 2025
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain | Ahmed Faraz

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain


سُنا ہے لوگ اُسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں

سو اُس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں

یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے ربط ھے اُس کو خراب حالوں سے

سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے دن میں اُسے تتلیاں ستاتی ہیں

سُنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے اُس کے بدن کی تراش ایسی ہے

کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے اُسے بھی ہے شعر و شاعری سے شغف

سو ہم بھی معجزے اپنے ھُنر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے درد کی گاہگ ہے چشمِ ناز اُس کی

سو ہم بھی اُس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے حشر ہیں اُس کی غزال سی آنکھیں

سُنا ہے اُس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے اُس کی سیاہ چشمگیں قیامت ہے

سو اُس کو سُرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے رات اُسے چاند تکتا رہتا ہے

ستارے بامِ فلک سے اُتر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اُس کی

سُنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے اُس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں

سو ہم بہار پر الزام دھر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے اُس کے شبستاں سے مُتصل ہے بہشت

مکیں اُدھر کے بھی جلوے اِدھر کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے آئینہ تمثال ہے جبیں اُس کی

جو سادہ دل ہیں اُسے بن سنور کے دیکھتے ہیں


سُنا ہے چشمِ تصور سے دشتِ اِمکاں میں

پلنگ زاویے اُس کی کمر کے دیکھتے ہیں


رُکے تو گردشیں اُس کا طواف کرتی ہیں

چلے تو اُس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں


بس اِک نگاہ سے لُٹتا ہے قافلہ دل کا

سو راہروانِ تمنّا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں


اب اُس کے شہر میں ٹھہریں یا کُوچ کر جائیں

فراز آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں

احمد فراز

sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ

so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ

sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se

so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ

sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī

so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ

sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf

so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ

sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ

ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ

sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai

sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ

sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ

sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ

sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ

sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ

sunā hai raat se badh kar haiñ kākuleñ us kī

sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ

sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai

so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ

sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ

so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ

sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us kī

jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ

sunā hai jab se hamā.il haiñ us kī gardan meñ

mizāj aur hī laal o guhar ke dekhte haiñ

sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ

palañg zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ

sunā hai us ke badan kī tarāsh aisī hai

ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ

ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ

bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā

so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ

sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht

makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ

ruke to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ

chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ

kise nasīb ki be-pairahan use dekhe

kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ

kahāniyāñ hī sahī sab mubālġhe hī sahī

agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ

ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ

‘farāz’ aao sitāre safar ke dekhte haiñ

 Ahmed Farazi

kis qader aag barasti hai yahan | Ahmed Faraz

May 10, 2025
kis qader aag barasti hai yahan | Ahmed Faraz

Kis qader aag barasti hai yahan

کس قدر آگ برستی ہے یہاں
خلق شبنم کو ترستی ہے یہاں

صرف اندیشۂ افعی ہی نہیں
پھول کی شاخ بھی ڈستی ہے یہاں

رُخ کدھر موڑ گیا ہے دریا
اب نہ وہ لوگ نہ بستی ہے یہاں

زندہ درگور ہُوئے اہلِ نظر
کس قدر مُردہ پرستی ہے یہاں

زیست وہ جنسِ گراں ہے کہ فراز
موت کے مول بھی سَستی ہے یہاں

احمد فراز

               
kis qader aag barasti hai yahan
Khalq shabnam ko tarasti hai yahan

sirf andesha afee hi nahi
phool ki shaakh bhi daasti hai yahan

rukh kidhar mourr gaya hai darya
ab nah woh log nah bastii hai yahan

zindah drgor huay ehley nazar
kis qader murda parasti hai yahan

zeist woh jnsِ giran hai ke frazz
mout ke mol bhi Susti hai yahan


Ahmed Faraz

Sitam Sikhlaye Ga Rasam Wafa Aisay Nahi Hota | Faiz Ahmed faiz

May 10, 2025
Sitam Sikhlaye Ga Rasam Wafa Aisay Nahi Hota | Faiz Ahmed faiz

Sitam Sikhlaye Ga Rasam Wafa Aisay Nahi Hota

ستم سکھلائے گا رسم وفا ایسے نہیں ہوتا
صنم دکھلائیں گے راہ خدا ایسے نہیں ہوتا

گنو سب حسرتیں جو خوں ہوئی ہیں تن کے مقتل میں
مرے قاتل حساب خوں بہا ایسے نہیں ہوتا

جہان دل میں کام آتی ہیں تدبیریں نہ تعزیریں
یہاں پیمان تسلیم و رضا ایسے نہیں ہوتا

ہر اک شب ہر گھڑی گزرے قیامت یوں تو ہوتا ہے
مگر ہر صبح ہو روز جزا ایسے نہیں ہوتا

رواں ہے نبض دوراں گردشوں میں آسماں سارے
جو تم کہتے ہو سب کچھ ہو چکا ایسے نہیں ہوتا


Sitam sikhlaye ga rasam wafa aisay nahi hota
Sanam dikhalaane ge raah kkhuda aisay nahi hota

Geeno sab hasaratein jo khoo hui hain tan ke maqtal mein
Marey qaatil hisaab khoo baha aisay nahi hota

Jahan dil mein kaam aati hain tadbeerye nah تعزیریں
Yahan Paiman tasleem o Raza aisay nahi hota

Har ik shab har ghari guzray qayamat yun to hota hai
Magar har subah ho roz jaza aisay nahi hota

Rawan hai nabz dauraa gardishon mein aasmaa saaray
Jo tum kehte ho sab kuch ho chuka aisay nahi hota

Faiz Ahmed Faiz

Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The

April 17, 2025
Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The

 Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The

Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The


            
Kya zamana tha k har roz mila karte the
Raat bhar chaNd k hamraah phira karte the

JahaaN tanhaaiyaaN sar phoR k so jati haiN
Un makaanoN meN ajab log raha karte the

Kar diya aaj zamaane ne unheN bhi majbur
Kabhi yeh log mere dukh ki dawa karte the

Dekh kar jo hamaiN chup chap guzar jata hai
Kabhi us shakhs ko hum pyar kiya karte the

IttefaaQaat E zamana bhi ajab haiN ‘Nasir’
Aaj woh dekh rahe haiN jo suna karte the

Nasir Kazmi

Theek hai main nahi pasand unhein | Mohammad Ahmad

April 10, 2025
Theek hai main nahi pasand unhein | Mohammad Ahmad

 Theek hai main nahi pasand unhein

Theek hai main nahi pasand unhein

Lekin is darja paayemaal pasand??


Sach na kahiye K sach hai sabr talab

Log hote hain ishte’aal pasand


Haan mujhe aaj bhi pasand hai woh

Is ko kahte hain lazawaal pasand


Hilm hai ahl e ilm ka shewaa

Jaah walon ko hai jalaal pasand


Wasl ko hijr, naagehaani maut

Hijr ko mausam e wesaal pasand


Fikr e duniya nahi mujhe Ahmad

Apni masti aur apni khaal pasand


(Mohammad Ahmad)

Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye || Ada Jafri

October 05, 2024
Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye || Ada Jafri

 Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye

Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye


by Ada Jafri
Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye

hairan hain labbasta hain, dilgir hain gunche
khushbu ke zubani tera paigam hi aaye

lamhat-e-masarrat hain tasavvur se gurezan
yaad aae hain jab bhi gam-o-alam hi aaye

taron se saja lenge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye

yadon ke vafaon ke aqidon ke gamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye

kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye

thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye

baqi na rahe sakh "ada" dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye

Kahan Dhunde Use Kaise Bhulaye | Ahmed Mushtaq

August 26, 2024
Kahan Dhunde Use Kaise Bhulaye | Ahmed Mushtaq

 Kahan Dhunde Use Kaise Bhulaye

Kahan Dhunde Use Kaise Bhulaye

Kahan Dhunde Use Kaise Bhulaye
Yahan apni bhi aawazian nah ayen

Purana chaand dooba ja raha hai
Woh ab koi naya jadu jagayen

Ab aisa hi zamana aa raha hai
Ajab kya woh to ayen, hum nah ayen

Sun-hwa chalti hai pichlle mousamoo ki
Sada aati hai un ko bhool jayen

Bas ab le day ke hai tark e talluq
Yeh nuskha bhi koi din aazmayen

Urdu Ghazal By Ahmed Mushtaq

Yeh tanha raat yeh gehri fizayen | Ahmed Mushtaq

August 24, 2024
Yeh tanha raat yeh gehri fizayen | Ahmed Mushtaq

 Yeh tanha raat yeh gehri fizayen

Yeh tanha raat yeh gehri fizayen

Yeh tanha raat yeh gehri fizayen 
usay dhunden ke is ko bhool jayen

khayalon ki ghani khamoshion mein
ghuli jati hain lafzon ki sadayen

yeh raste رہرووں se bhagtay hain
yahan choup choup ke chalti hain hawae

yeh pani khamshi se beh raha hai
usay dekhen ke is mein doob jayen

jo gham jaltay hain shairoon ki chitta mein
inhen phir –apne seenay se lagayen

chalo aisa makan abad kar len
jahan logon ki aawazian nah ayen

More Ghazal Click Here

Kahin ummid si hai | Ahmed Mushtaq

August 23, 2024
Kahin ummid si hai | Ahmed Mushtaq

 Kahin ummid si hai

Kahin ummid si hai

Kahin umeed si hai dil ke nihaan khanaay mein
Abhi kuch waqt lagey ga usay samjhane mein

Mosam e Gul ho ke patt chhar ho bulaa se apni
Hum ke shaamil hain nah khilnay mein nah murjhanay mein

Hum se makhfi nahi kuch RAHAGUZAR shoq ka haal
Hum ne ik Umar guzari hai sun-hwa khanaay mein

Hai yun hi ghumte rehne ka maza hi kuch aur
Aisi lazat nah pounchanay mein nah reh jane mein

Naye deewano ko dekhen to khushi hoti hai
Hum bhi aisi hi thay jab aaye thay veraney mein

Mausam ka koi Mehram ho to is se pucho
Kitney patt jhar abhi baqi hain bahhar anay mein

Ahmed Mushtaq

Chahat mein kya duniya dari | Moshsin Bhopali

January 31, 2024
Chahat mein kya duniya dari | Moshsin Bhopali

 Chahat mein kya duniya dari


Chahat mein kya duniya dari

Chahat mein kya duniya dari ishq mein kaisi majburi
Logon ka kya samjhane do un ki apni majburi

Main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
Meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi

Rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
Kachchi mitti to mahkegi hai mitti  majburi

Zat kade mein pahron batein aur milin to mohr ba lab
Jabe-e-vaqt ne bakhshi ham ko ab ke kaisi mabjburi

Jab tak hansta gaata mausam apna hai sab apne hain
Waqt pade to yaad ae jaati hai masnui majburi

Ik avara badal se kyun main ne saaya manga tha
Meri bhi ye nadani thi us ki thi majburi

Muddat guzri ik vaade par bhi qaaem hain 'Mohsin'
Ham ne saari umr nibahi apahli majburi 

Moshsin Bhopali 

Mirza Ghalib Ghazal in Urdu

December 22, 2023
Mirza Ghalib Ghazal in Urdu

 Mirza Ghalib Ghazal in Urdu

Mirza Ghalib Ghazal in Urdu

 Mirza Ghalib Ghazal in Urdu

Kyuun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil
Insan huun piyala o saghar nahin hun main

Ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye
Lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun main

Had chahiye saza men uqubat ke vaste
Akhir gunahgar huun kafar nahin hun main

Kis vaste aziiz nahin jante mujhe
Laal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main

Rakhte ho tum qadam miri ankhon se kyun daregh
Rutbe men mahr-o-mah se kam-tar nahin hun main

Karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye
Kya asman ke bhi barabar nahin hun main

Ghalib vazifa-khvar ho do shaah ko dua
Wo din gae ki kahte the naukar nahin hun main

MIRZA GHALIB

Dard minnat kash dawa nah hua | Mirza Ghalib

November 30, 2023
Dard minnat kash dawa nah hua | Mirza Ghalib

 Dard minnat kash dawa nah hua

Dard minnat kash dawa nah hua

Dard minnat kash dawa nah hua
Mein nah acha hua bura nah hua

Jama karte ho kyun rakiboon ko
Ik tamasha sun-hwa gilah nah hua

Hum kahan qismat azmaane jayen
To hi jab khanjar aazma nah hua

Kitney sheree hain tairay lab ke raqeeb
Gaaliyan kha ke be maza nah hua

Hai khabar garam un ke anay ki
Aaj hi ghar mein boriya nah hua

Kya woh namrud ki khudai thi
Bandagi mein mra bhala nah hua

Jaan di di hui isi ki thi
Haq to yun hai ke haq ada nah hua

Zakham gir dab gaya lahoo nah thama
Kaam gir ruk gaya rava nah hua

Mirza Ghalib

Rehzani hai ke dil satani hai
Le ke dil dil satan rawana hua

Kuch to padhiye ke log kehte hain
Aaj Ghalib ghazal serra nah hua

Ahmad Faraz Urdu Poetry | Is ka socha bhi na tha ab

September 07, 2023
Ahmad Faraz Urdu Poetry | Is ka socha bhi na tha ab

 Ahmad Faraz Urdu Poetry

Ahmad Faraz Urdu Poetry

Is ka socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri
Wo qayamat hi ghaneemat thi jo yakja guzri

Aa galay tujh ko laga loon mere piyare dushman
Ik meri bat nahi tujh pay bhi kya kya guzri

Mein to sehra k tapish tishna labi bhool gaya
Jo mere hum nafson pay lab e dariya guzri

Aj kya dekh k bhar ai hain ankhein teri
Hum pay ay dost ye saa’at to humesh guzri

Meri tanha safri mere muqaddar thi Faraz
Warna is sheher e tamanna say to duniya guzri

Ahmad Faraz Urdu Poetry

Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan | Ahmad Faraz

September 06, 2023
Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan | Ahmad Faraz

 Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan

Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan
Inhi khush'gumaniyon mei kahin jaan se bhi na jao
wo jo chaaragar nahi hy usy zakhm kyon dikhao ?

Ye udasiyon k mousam kahin raigaan na jaain
kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao

Wo kahaniyaan adhori jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyon sunaon unhain tum b kyon sunao?

Mere humsafar purane mere ab b muntazir hain
tumhain sath chorna hy to abhi se choor jao

Ye judaiyon ke rasty bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na louta meri baat maan jao

kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak
jo tumhain bhula chuka hy usey tum bhi bhool jao


kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein

August 30, 2023
kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein

 kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein

kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein

Kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein
Ke chand saans bhi aaye nah –apne hissay mein

Woh aik aisay samandar ke roop mein aaya
Ke Umar kat gayi jis ko uboor karne mein

Mujhe khud apni talabb ka nahi hai andaza
Yeh kaayenaat bhi thori hai mere kaasay mein

Mili to hai meri tanhaiyon ko azadi
Jari hui hain kuch ankhen magar dareechay mein

Ghanim bhi koi mujh ko nazar nahi aata
Ghira sun-hwa bhi hon charon taraf se khatray mein

Mra shaoor bhi shayad woh tifal kamsin hai
Bhichar gaya hai jo gmrahyon ke melay mein

Hunar hai shairi shatranj shoq hai mera
Yeh jaedad muzaffar mili hai virsay mein

Muzaffar Varsi

Jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla lyrics

August 29, 2023
Jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla lyrics

 Jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla lyrics


Jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla lyrics

Jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla lyrics


Bazme gul chhod gaya dil mera pagal nikala
Jab bahar aayi to sehara ki taraf chal nikala

Ek mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
Ek mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi

Ham jise umr smjhte the wo ek pal nikala
Jab bahar aayi to sehara ki taraf chal nikala

Jab use dhudhne nikala to nishaa tak na mila
Jab use dhudhne nikala to nishaa tak na mila

Dil mein maujud raha aankh se ojhal nikala
Jab bahar aayi to sehara ki taraf chal nikala

Koi Hasrat Bhi Nahi Koi Tamanna Bhi Nahi

August 28, 2023
Koi Hasrat Bhi Nahi Koi Tamanna Bhi Nahi

 Koi Hasrat Bhi Nahi Koi Tamanna Bhi Nahi

Koi Hasrat Bhi Nahi Koi Tamanna Bhi Nahi
Koi Hasrat Bhi Nahi Koi Tamanna Bhi Nahi
Dil Wo Aansoo Jo Kisi Aankh Say Chalka Bhi Nahi

Rooth Ke Baith Gaye Himmat Dushwaar Pasand
Rah May Ab Koi Jalta Hua Sehra Bhi Nahi

Agay Kuch Log Hamein Dekh Ke Hans Dete Thay
Ab Yeh Aalam Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi

Dard, Wo Agg Kay Bujhti Nahi , Jalti Bhi Nahi
Yaad, Wo Zakham Ke Bharta Nahi , Rishta Bhi Nahi

Baad-baan Khool Ke Baithe Hain Safeenoo Walay
Paar Uternay Ke Liye Halka Sa Jhoonka Bhi Nahi

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar K Mujhe | Nasir Kazim

August 26, 2023
Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar K Mujhe | Nasir Kazim

 Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar K Mujhe

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Guzar Gai Jars-e-Gul Udas Kar K Mujhe
Main So Raha Tha Kisi Yad K Shabistan Mein
Jaga K Chor Gaye Qafile Shahar K Mujh
Main Ro Raha Tha Muqadar Ki Sakhat Rahon Mein
Ura K Le Gia Jado Teri Nazar Ka Mujhe
Main Teri Dard Ki Tugh Yanio Mein Doob Gia
Pukarte Rahe Tare Ubhar Ubhar K Mujhe,
Tere Firaq Ki Ratain Kabhi Na Bhulain Gay,
Maze Mile Inhi Raton Mein Umar Bhar K Mujhe,
Yara Si Deir Theharne De Aaye Gham-E-Dunia,
Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar K Mujhe,
Phir Aaj Aai Thi Ek Mouj-E-Hawa-E-Tarab,
Suna Gai Hai Fasane Idhar Udhar K Mujhe.
Nasir Kazim