Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar K Mujhe
Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Guzar Gai Jars-e-Gul Udas Kar K Mujhe
Main So Raha Tha Kisi Yad K Shabistan Mein
Jaga K Chor Gaye Qafile Shahar K Mujh
Main Ro Raha Tha Muqadar Ki Sakhat Rahon Mein
Ura K Le Gia Jado Teri Nazar Ka Mujhe
Main Teri Dard Ki Tugh Yanio Mein Doob Gia
Pukarte Rahe Tare Ubhar Ubhar K Mujhe,
Tere Firaq Ki Ratain Kabhi Na Bhulain Gay,
Maze Mile Inhi Raton Mein Umar Bhar K Mujhe,
Yara Si Deir Theharne De Aaye Gham-E-Dunia,
Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar K Mujhe,
Phir Aaj Aai Thi Ek Mouj-E-Hawa-E-Tarab,
Suna Gai Hai Fasane Idhar Udhar K Mujhe.
Nasir Kazim
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.