Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan | Ahmad Faraz - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan | Ahmad Faraz

 Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan

Inhi khush gumaniyon mei kahin jaan
Inhi khush'gumaniyon mei kahin jaan se bhi na jao
wo jo chaaragar nahi hy usy zakhm kyon dikhao ?

Ye udasiyon k mousam kahin raigaan na jaain
kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao

Wo kahaniyaan adhori jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyon sunaon unhain tum b kyon sunao?

Mere humsafar purane mere ab b muntazir hain
tumhain sath chorna hy to abhi se choor jao

Ye judaiyon ke rasty bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na louta meri baat maan jao

kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak
jo tumhain bhula chuka hy usey tum bhi bhool jao


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.