Dard minnat kash dawa nah hua
Dard minnat kash dawa nah hua
Mein nah acha hua bura nah hua
Jama karte ho kyun rakiboon ko
Ik tamasha sun-hwa gilah nah hua
Hum kahan qismat azmaane jayen
To hi jab khanjar aazma nah hua
Kitney sheree hain tairay lab ke raqeeb
Gaaliyan kha ke be maza nah hua
Hai khabar garam un ke anay ki
Aaj hi ghar mein boriya nah hua
Kya woh namrud ki khudai thi
Bandagi mein mra bhala nah hua
Jaan di di hui isi ki thi
Haq to yun hai ke haq ada nah hua
Zakham gir dab gaya lahoo nah thama
Kaam gir ruk gaya rava nah hua
Mirza Ghalib
Rehzani hai ke dil satani hai
Le ke dil dil satan rawana hua
Kuch to padhiye ke log kehte hain
Aaj Ghalib ghazal serra nah hua
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.