Nahin nigah mein manzil to justju hi sahi | Faiz ahmed faiz - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Nahin nigah mein manzil to justju hi sahi | Faiz ahmed faiz

Nahin nigah mein manzil to justju hi sahi

نہیں نگاہ میں منزل تو جستجو ہی سہی
نہیں وصال میسر تو آرزو ہی سہی

نہ تن میں خون فراہم نہ اشک آنکھوں میں
نماز شوق تو واجب ہے بے وضو ہی سہی

کسی طرح تو جمے بزم مے کدے والو
نہیں جو بادہ و ساغر تو ہاؤ ہو ہی سہی

گر انتظار کٹھن ہے تو جب تلک اے دل
کسی کے وعدۂ فردا کی گفتگو ہی سہی

دیار غیر میں محرم اگر نہیں کوئی
تو فیضؔ ذکر وطن اپنے روبرو ہی سہی

           


Nahin nigaah mein manzil to justajoo hi sahi
Nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi

Na tan mein khoon faraaham na ashk aankon mein
Namaaz-e-shauq to waajib hai be-wazoo hi sahi

Kisi tarah to jame bazm mai-kade waalo
Nahin jo baada-o-saagar to haav-hoo hi sahi

Gar intezaar kathin hai to jab talak ai dil
Kisi ke waada-e-fardaa ki guftagoo hi sahi

Dayaar-e-ghair mein marham agar nahin koi
To Faiz zikr-e-watan apne rubaroo hi sahi

Faiz Ahmed Faiz