Ghazal Urdu: Ibn-e-Insha

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Showing posts with label Ibn-e-Insha. Show all posts
Showing posts with label Ibn-e-Insha. Show all posts

Wada Tu Kya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey | ابن انشا کی شاعری

March 10, 2026
Wada Tu Kya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey | ابن انشا کی شاعری

 Wada Tu Kya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey


Wada Tu Kya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey



وعدہ تو کیا ہے مگر ایفا نہ کریں گے
ایفا جو کریں گے کوئی اچھا نہ کریں گے

لوگوں سے چھپالیں گے جو احوال ہے جی کا
اپنے سے کسی بات میں دھوکا نہ کریں گے

اے دل ترے فرمانوں کو ٹالا ہے نہ ٹالیں
اُن کی بھی ترے سامنے پرواہ نہ کریں گے

اِس راہ کو ہم چھوڑ کے جائیں کسی جانب
آرزدہ نہ ہو ہم کبھی ایسا نہ کریں گے

لکھیں گے اُسی ٹھاٹ سے نظمیں، کبھی غزلیں
ہاں آج سے لوگوں کو دِکھایا نہ کریں گے

Wada Tu Kya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey
Aefa Jo Krain Gey Koi Acha Na Kren Gey
Logo Se Chupa Le Gey Jo Ahwal Hai G Ka
Apne Se Kisi Baat Mai Dhoka Na Kren Gey
Ae Dil Tere Farmano Ko Tala Hai Na Talain
Un Ki Bi Tere Samne Parwa Na Kren Gey
Is Rah Ko Ham Chor Ke Jayen Kisi Janab
Azarda Na Ho… Ham Kabi Aesa Na Kren Gey
Likhain Gey Usi That Se Nazmain, Kabi Ghazalain
Han Aaj Se Logo Ko Dikhaya Na Kren Gey

Poetry, Ghazals, Ibn e Insha

Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain | Ibn-e-Insha

March 10, 2026
Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain | Ibn-e-Insha

 Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain

Ibn-e-Insha

ہم لوگ تو ظُلمت میں جِینے کے بھی عادی ہیں

اس درد نے کیوں دل میں شمعیں سی جلا دی ہیں


اِک یاد پہ آہوں کا طُوفاں اُمڈتا ہوا آتا ہے

اِک ذکر پہ اب دل کو تھاما نہیں جاتا ہے


اِک نام پہ آنکھوں میں آنسُو چلے آتے ہیں

جی ہم کو جلاتا ہے، ہم جی کو جلاتے ہیں


ہم لوگ تو مُدّت سے آوارہ و حیراں تھے

اس شخص کے گیسُو کب اس طور پریشاں تھے


یہ شخص مگر اے دل! پردیس سدھارے گا

یہ درد ہمیں جانے کس گھاٹ اُتارے گا


عشق کا چکر ہے اِنشاؔ کے ستاروں کو

ہاں جا کے مبارک دو پھر نَجد میں یاروں کو


Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain

Ik Yaad Pey Aahon Ka Tufan Umadta Hoa Aata Hai

Ik Zikar Pey Ab Dil Ko Thama Nahi Jata Hai

Ik Naam Pey Aankhon Mein Aansoo Chale Aate Hain

Ji Ham Ko Jilata Hai Ham Ji Ko Jilaty Hain

Ham Log Tu Mudat Se Awar O Heran They

Us Shakhs Ke Geso Kab Is Tor Preshan They

Ye Shakhs Ae Dil Mgar Pardes Suhare Ga

Ye Dard Hmain Jane Kis Ghat Utare Ga

Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko

Han Ja Ke Mubarak Do Phir Najad Mein Yaaron Ko


Poet: Ibn e Insha


Haal dil jis ne suna giryaa kya | Ibn-e-Insha

August 10, 2024
Haal dil jis ne suna giryaa kya | Ibn-e-Insha

 Haal dil jis ne suna giryaa kya

Haal dil jis ne suna giryaa kya


Haal dil jis ne suna giryaa kya
Hum nah roye ha n tra kehna kya

Yeh to ik be mohar ka mazkoorah hai
Tum ne jab wada kya aifaa kya

Phir kisi jaan wafa ki yaad ne
Asshk be Maqdoor ko darya kya

Taal do naino ke jal thal ho gaye
Abr rasa ik raat bhar barsa kya

Dil zakhamo ki hari khaiti hui
Kaam sawan ka kya acha kya

Aap ke Altaf ka charcha kya
Haan dil be sabr ne ruswa kya

Ibn-e-Insha

Sab Maaya Hai | Ibn-e-Insha

August 09, 2024
Sab Maaya Hai | Ibn-e-Insha

 Sab Maaya Hai

Sab Maaya Hai

Sab Maaya Hai
Sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
Iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
Jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
Sab maya hai

haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
Sab maya hai

ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
Sab maya hai

maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
Sab maya hai

kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
Sab maya hai

jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo – hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
Sab maya hai

woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay’ghaam yeehi bhijwaya hai
Sab maya hai

jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
Sab maya hai

jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door – aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
Sab maya hai

Ibn-e-Insha


Ek Baar Kaho Tum Meri Ho | Ibn E Insha | Urdu Poetry

January 08, 2023
Ek Baar Kaho Tum Meri Ho | Ibn E Insha | Urdu Poetry

 Ek Baar Kaho Tum Meri Ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho

Meray dil kay shaam saweray ho

Ik baar kaho tum meray ho 

Mujhay tum bin kuch na dikhaai de

Kiyon itnay ghour andheray ho 

Main punchi payar kay deson ki 

Tum meray rain baseray ho 

Main maal-o-manaal mohabbat ka

Tum daaku chor luteray ho 

Kuch bolo ya azaad karo 

Kiyon khamoshi se gheray ho 

Ibn E Insha

Farz karo hum ehley wafa hon | Ibn E Insha

October 26, 2022
Farz karo hum ehley wafa hon | Ibn E Insha

Farz karo hum ehley wafa hon

Farz karo hum ehley wafa hon

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hon, afsane hon,

Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hon,

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho
Farz karo is peet ke rog main saans bhi hum par bhari ho

Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho

Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane hu
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane hu

Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain

Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain

In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi

Gori dekh ke aage barrhna sab ka jhoota sacha hu
Doobne wali doob gayi woh gharra tha jis kacha hu

 Ibn E Insha

Insha Ji Utho Ab Kooch Karo | Ibn E Insha

October 25, 2022
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo | Ibn E Insha

Insha Ji Utho Ab Kooch Karo

Insha Ji Utho Ab Kooch Karo

Insha Ji Utho Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya

Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya

Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya

Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya

Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya

Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya

Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya

Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN,  KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya

(Ibn E Insha)