Laai hayat aae qaza le chali chale | Ibrahim Zauq - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Laai hayat aae qaza le chali chale | Ibrahim Zauq

 Laai hayat aae qaza le chali chale

Laai hayat aae qaza le chali chale

Laai hayat aae qaza le chali chale
Apni khushi na aae na apni khushi chale

Ho umr-e-khizr bhi to ho maalum vaqt-e-marg
Ham kya rahe yahan abhi aae abhi chale

Ho umr-e-khizr bhi to ho maalum vaqt-e-marg
Ham kya rahe yahan abhi aae abhi chale

Ham se bhi is bisat pe kam honge bad-qimar
Jo chaal ham chale so nihayat buri chale

Behtar to hai yahi ki na duniya se dil lage
Par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale

Laila ka naaqa dasht men tasir-e-ishq se
Sun kar fughan-e-qais baja-e-hudi chale

Nazan na ho khirad pe jo hona hai ho vahi
Danish tiri na kuchh miri danish-vari chale

Duniya ne kis ka rah-e-fana men diya hai saath
Tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale

Jaate hava-e-shauq men hain is chaman se ‘zauq’
Apni bala se bad-e-saba ab kabhi chale

 Ibrahim Zauq

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.